Bharay Darbaar Mein Roti Rahi Khari Zahra | Lyrics | Mir Hasan Mir
Bharay Darbaar Mein Roti Rahi Khari Zahra
Bharay Darbaar Mein Roti Rahi Khari Zahra
Na Janay Kis Tarha Haq Maangti Rahi Zahra
Yeh Uski Beti Hai Jisnay Do Lakht Chand Kiya
Voh Jiskay Noor Nay Har Roshni Ko Maand Kiya
Isay Sataao Na Dukhiyari Hai Bari Zahra
Nabi Kay Baad Yeh Kya Ho Gaya Zamanay Ko
Kyun Kalma Go Hai Chalay Tera Ghar Jalanay Ko
Sahay Gi Kis Tarha Tu Yeh Sitamgari Zahra
Voh Apnay Baba Ko Marzi Say Ro Nahi Sakti
Kyun Apnay Ashkon Say Palkein Bhigo Nahi Sakti
Dikhaee Waqt Nay Keysi Sitamgari Zahra
Sanad Key Tukray Hawa Mein Ura Kay Hasnay Laga
Rasool Zaadi Say Ghustakh Aisay Kehnay Laga
Bata Voh Konsi Jageer Hai Teri Zahra
Zara Yeh Soch Kay Danish Waron Yeh Batlaao
Nahi Sataaey Gaee Phir Hamay Yeh Samjhaao
To Ronay Kis Liyey Baitul Huzan Gaee Zahra
Hasan Hussain Say Sachay Gava Bhi Jhutlaaey
Rula Kay Bibi Ko Zalim Zara Na Sharmaaey
Bhula Na Paaegi Ummat Ki Bey Rukhi Zahra
Siyaah Baal Jo Maan Kay Safeyd Tar Dekhay
Tauqeer Keysai Kahoon Betiyon Nai Sar Peetay
Gaee Hai Jis Tarha Ghar Say Thaki Thaki Zahra
Bharay Darbaar Mein Roti Rahi Khari Zahra | Lyrics | Mir Hasan Mir
Reviewed by Nohayonline.lyrics
on
6:25 PM
Rating:
No comments: