Ali Ali Maula Saath Zaban kai Dill Yahi Bola | Farhan Ali Waris | 13 Rajab

Manqabat Khuwan: Farhan Ali Waris


Ali Ali Ali Ali Alil Ali Ali
Mola Ali Mola Ali Ali Ali Mola Ali 

Iss Baatt Pai Kyun karr naa kare fakharr Mawali
socha nahi bus humne to maana hai Ali ko
batlati hai ye kaabe me maujood darareine
is ghar nai bohot toot ke chaha hai Ali ko

Ali Ali Mola Ali Ali Mola Ali
Ali Mola Ali Ali Ali Ali.. 

Masjid Boli
Mola Molaaa
Mimbar Bola
Mola Mola
Masjid boli, mimbar bola
13 rajab ko kaaba bola.

Ali Ali maula ali ali maula
saath zabaan ke dil yahi bola
ali ali maula ali ali maula
13 rajab ko kaaba bola..

Charo'n taraf midhat ki fizaein
aao zamane bhar ko sajaein.
aaj zahoor hai maula ali ka
Kyu na khushi mein naara lagaein
Wajd mein aakar, naara lagaya
ali ali maula haider maula.......

Ali Ali maula Ali Ali maula,
saath zabaan ke dil yahi bola
ali ali maula ali ali maula,
13 rajab ko kaaba bola

13 rajab ki bazm sajai
khoob hui fir madha sarai
ishq tera darwaish banae
ishq tera bakshe danaai
khoob wila ka jaam piya tha
phir bhi nashe mein mai nahi dola

Ali Ali maula Ali Ali maula
saath zaban ke dil yahi bola
Ali Ali maula Ali Ali maula
13 rajab ko kaaba bola

Tune namaz e ishq sikhai
tune hume tauheed batai
kaun baya'n kar paega maula
teri fazeelat teri badaai
padhne laga wo tera qaseeda
jab bhi kabhi qur'aan ko khola

Ali Ali maula Ali Ali maula,
saath zaban ke dil yahi bola

banao jashn ke kaabe
mein aa rahe hai ali
khuda ke ghar se buto'n
ko bhaga rahe hai ali
jidare kaaba ne has kar
kaha khuda ki qasam
mujhe tawaaf ke qabil bana rahe hai ali

Joothi khudao'n walo aao
joothe khudao'n ko le jao
aa gaya ghar ka malik dekho
apni duka'n kahi'n aur lagao
aagai andar madar e haider
jhoom ke kaaba fir ye bola

Ali Ali maula Ali Ali maula,
saath zaban ke dil yahi bola
Ali Ali maula Ali Ali maula,
13 rajab ko kaaba bola

Marhab se ladte bhi dekha
tanha use rote bhi dekha
sajda use karte bhi dekha
sajda use hote bhi dekha
sajid aur masjood ali hai
raaz yahi salmaan ne khola

Ali Ali maula Ali Ali maula,
saath zaban ke dil yahi bola
Ali Ali maula Ali Ali maula,
13 rajab ko kaaba bola

Rasm e wafa duniya ne chala di
ishq ki wo tehzeeb sikha di
karta raha duniya mein manadi
meesam tha is wird ka aadi
kaati zabaa'n jab ehle sitam ne
daar pe jaakar meesam bola

Ali Ali maula Ali Ali maula,
saath zaban ke dil yahi bola
Ali Ali maula Ali Ali maula,
13 rajab ko kaaba bola

Padhte hue mai nahj e balagha
ishq mein tere soch raha tha
kya hai teri me'raj bata de
tujh ko sare me'raj bhi dekha
mere lahu mein, mere junoo mein
tere ishq ne hi ras ghola

Ali Ali maula Ali Ali maula,
saath zaban ke dil yahi bola
ali ali maula ali ali maula,
13 rajab ko kaaba bola

Mulk e adam par teri hukumat
khuld o iram par teri hukumat
marziye rab ka malik tu hai
lauh o qalam par teri hukumat
duniya tujhko rabb kehti hai
jab jiska eemaan tatola

Ali Ali maula Ali Ali maula,
saath zaban ke dil yahi bola
Ali Ali maula Ali Ali maula,
13 rajab ko kaaba bola

An'amta ka raaz bhi tu hai
nabiyo ka dam saaz bhi tu hai
'Mazhar' ka eemaan hai maula
hatif ki aawaz bhi tu hai
madha sana Farhan hua to
kehne laga darwaisho ka tola

Ali Ali maula Ali Ali maula,
saath zaban ke dil yahi bola
Ali Ali maula Ali Ali maula,
13 rajab ko kaaba bola

Ali Ali Mola Ali Mola Ali
Ali Mola Ali Ali Ali..
Ali Ali Mola.
Ali Ali Maula Saath Zaban kai Dill Yahi Bola | Farhan Ali Waris | 13 Rajab Ali Ali Maula Saath Zaban kai Dill Yahi Bola | Farhan Ali Waris | 13 Rajab Reviewed by Nohayonline.lyrics on 8:28 PM Rating: 5

1 comment:

All lyrics are Provided By Videos Caption and Noha Video Description. Any Problem Email Me. Powered by Blogger.