LYRICS | Aye Jaun (as) Bhai Ho Tum Meray | Mir Hasan Mir | Muharram 1443-2021
LYRICS | Aye Jaun (as) Bhai Ho Tum Meray | Mir Hasan Mir | Muharram 1443-2021
●● NOHA LYRICS ● ●
● Aye Jaun Bhai Ho Tum Meray
Abbas Ki Kasam Tumhain Lag Jao Na Galay
●Baba Bhi Aye Hain Meray Nana Bhi Aye Hain
Chehray Ka Noor Dekhiye Musa Bhi Aye Hain
Yousuf Kharay Huye Hain Ziyarat Ky Waste
●Tujh Ko Duain Ajj Sy Dy Gi Dua-e-Noor
Khushboo Teray Paseenay Ki Phelay Gi Dur Dur
Mil Jaye Ga Lahu Tera Khoon-e-Hussain Sy
●Ahl-e-Haram Ko Tum Sy Hai Dharas Meray Delar
Pehra Do Phir Khayam Ka Utho Aye Meray Sher
Kyun Ja Rahe Ho Tum Mujhay Ghurbat Main Chor Ky
●Karna Dua Hussain (as) Py Asa Na Waqt Aye
Koi Sada Dy Hum Ko Aur Hum Sy Chala Na Jaye
Lasha Tumhara Dhast Sy Hum Khud Uthainge
●Ahista Kehna Saqi-e-Kausar Sy Mera Haal
Rakhti Thi Meri Pyas Ka Amma Bohat Khayal
Ghurbat Na Ho Bayan Meri Amma Ky Samne
●Aye Hain Zakhm Tum Ko Meri Jaan Kahan Kahan
In Zalimon Ny Maari Hain Seenay Py Barchiyan
Shabbir Kis Tarhan Sy Tumhare Galay Lagay
●Tou Ny Gala Kataya Hai Pehle Hussain (as) Sy
Dilwainge Jaza Woh Shahe Mashraqain (saw) Sy
Chadar Utha Ky Deti Hain Amma Dua Tujhay
●Seenay Laga Ky Kehne Laga Ibn-e-Fatima (sa)
Khushboo Sy Teri Mehkee Gi Ta Hashr Karbala
Bou Hai Tere Paseenay Main Kis Ny Kaha Tujhay
●Jaldi Thi Dekho Jaun Ko Sajjad Kis Qadar
Dhaal Aur Zira Ko Phenk Ky Seena Kiya Sipar
Jis Dum Suna Hussain (as) Sy
No comments: