Lyrics - Maaf Kar Do Hame Ya Hussain - Ameer Hasan Aamir - Muharram 1442 -2020

 

Lyrics - Maaf Kar Do Hame Ya Hussain - Ameer Hasan Aamir - Muharram 1442 -2020

Lyrics:-

Hur sharminda hai aqa hur sharminda hai mula

Maaf kr do hume ya husain maaf kr do hume ya husain

Hathun ko bandhen sth pisr ke kehta chla ya husain
Maaf kr do hume ya Hussain

Kheme ke dar pr sar ko jhuka kr hur ne kaha ya Hussain
Maaf kr do hume ya Hussain

Me hu wo zalim leke jo aya krbo bala apko
Ban ke gunahegar aya hu dene dar pe sada apko
Ghutniyun betha sar ko jhukaye honton pe tha ya Hussain
Maaf kr do......

Jab mera lashkar sehra ke ander tha piyas se jaa'n ba lab
Abass o akbar auno Muhammad pani pilate the sab
Meri wajah se haye wo lashkar piyasa raha ya Hussain
Maaf kr do......

Baali sakina asghre nadaa'n ka me gunahgar hoon
Aal e nabi ka dil hai dukhaya aisa sitmgar hoon
Mene kiya hai aap pe mula zulm o jafa ya Hussain
Maaf kr do......

Aye mere mula saqi e kusar itna karam kejye
Is khatawar ki hain ye khatayen sar ko qalam kejye
Hathon ko jude sheh se ye bola dejye saza ya Hussain
Maaf kr do.....

Sheh ke qadam par sar ko jhuka kr rkhe raha der tak
ankhon se uski ashkon ka dariya behta raha der tak
Kese uthaye sar ko wo apne aati haya ya Hussain
Maaf kr do.....

Aye mere mula aye mere aqa me hi khata kaar hoon
Be aab jangal me leke aya kitna gunhgar hoon
Aye ibne haider ab bakhsh dejye meri khata ya Hussain
Maaf kr do.....


Kiya aap mujhse raazi nahi hain hur ne ye rokar kaha
Me bhi hoon raazi raazi khuda hai shabbeer ne di sada
Khush ho ke hur ne awaz ye di shukriya ya Hussain
Maaf kr do......

Ran ki ijazat de dejye pehle mere jawa'n laal ko
Sar ko kataye maida'n me jaker izzat mile aal ko
Bas aap hi ka ghurbat ke ban me hai aasra ya Hussain
Maaf kr do........


Hathon se apne apne pisar ka lasha uthaunga me
Ghodhe se gir kar jab wo pukare maqtal me jaunga me
Daghe jawani ko bhi sahega seena mera ya Hussain
Maaf kr do.....

Jab uske sar se maqtal ke ander behti thi khu'n ki nadi
Romal e zehra sarwar ne bandha hai uski qismat badi
Apne ghulamo ko de rahe the ye martaba ya Hussain
Maaf kr do......

Majlis o matam aur nuha khuwani me jo hui ho khata
shams aur Aamir ki bakhsh dejye wo sab khata aye khuda
Hojaye'n ye bhi duniya ke ander hur ki tarah ya Hussain
Maaf kr do hume ya Hussain.



Lyrics - Maaf Kar Do Hame Ya Hussain - Ameer Hasan Aamir - Muharram 1442 -2020 Lyrics - Maaf Kar Do Hame Ya Hussain - Ameer Hasan Aamir - Muharram 1442 -2020 Reviewed by Nohayonline.lyrics on 2:51 PM Rating: 5

No comments:

All lyrics are Provided By Videos Caption and Noha Video Description. Any Problem Email Me. Powered by Blogger.