Lyrics - ASHQ E GHUM HAI TERI ATA ZAINAB - Joan Rizvi - Muharram 1442-2020

 

Lyrics - ASHQ E GHUM HAI TERI ATA ZAINAB - Joan Rizvi - Muharram 1442-2020

Ashq e ghum hai tere ata Zainab (sa) Tu hai Shabbir ki baqa Zainab (sa)
Donoon alam ki parda dari ho tere Naalain pa fida Zainab (sa)

apnay baba ki paak seerat bhi baap ka hosla bhi dikhlaya
gaye darbar main Hassan(as) banker sabar e Shabbir(as) ko bhi dhoraya
kiya darbar sham main Maa k khutboon ka tarjuma Zainab

Tere baba sa hai pidar koi na hai koi madar tere madar si
na muhafiz hai koi ghazi sa na koi chadar hai tere chadar si
aur here Hassan(as ) Hussain(as) sa bhi koi bhai hua Zainab(sa)

Ro paray be kafan janazay bhi tere hosla dekhker bibi
tu nay ankhoon k samnay dekha kat tay Shabbir ( as) ka gala bibi
khoon khanjar phaunchnay k lia kam aye tere Rida Zainab (sa)

zakham hi Zakhm hain sahay tu nay sheh(as) k maqtay say qaid khanay tak
aazmaye gayay sab hi tujh per kun khanjar sa taazyanay tak
had to yeh hai barastay shohloon main tunay sajda ada kia Zainab (sa)

Sola soo (1600) meel tak barhana sir shamioon na tujha phiraya hai
ibn e nofil na marker naiza rastay bhar tujha jagaya hai
tu hai Shabbir ki behan iska kerdia tunay haq ada Zainab (sa)

ajar itna mila risalat ka tere chehray ka rung bandla hai
aur jahan sa guzar hua tera issi rastay ka rung badla hai
tha Hassan(sa) k kafan k jaisa hi rang tere Libas ka Zainab(sa)

Zakhm Madar(sa) mila yasrab main khums kofay main phir yateemi ka
phir hassan aur karbala ka ghum dard phir sham aur sakina(sa) ka
Zindagi main hui nahi Mohsin ranj ghum sa kabhi reha Zainab (sa)



Lyrics - ASHQ E GHUM HAI TERI ATA ZAINAB - Joan Rizvi - Muharram 1442-2020 Lyrics - ASHQ E GHUM HAI TERI ATA ZAINAB - Joan Rizvi - Muharram 1442-2020 Reviewed by Nohayonline.lyrics on 10:56 AM Rating: 5

No comments:

All lyrics are Provided By Videos Caption and Noha Video Description. Any Problem Email Me. Powered by Blogger.