Lyrics - Aye Raat Na Dhalna - Syed Raza Abbas Zaidi - Muharram
Lyrics - Aye Raat Na Dhalna - Syed Raza Abbas Zaidi - Muharram
Ae Raat Na Dhalna Ke Ujar Jayegi Zainab
Bhai Se Dam E Subh Bichar Jayegi Zainab
Ae Raat Na Dhalna Ke Ujar Jayegi Zainab
Sone De Sakina Ko Ke Phir So Na Sakegi
Rona Bhi Jo Chahegi To Phir Ro Na Sakegi
Asgher Se Mulakat To Phir Hona Sakegi
Ghabraye Hoye Laal Hein Sehmi Hoyee Mayen
Jii Bhar Ke Mein De Lon Ali Akber Ko Duayen
Lena Hein Abhi Aun O Muhammad Ki Balayen
Ae Raat Bikhar Ja Tere Bas Mein Ho Jahan Tak
Mit Jayenge Kal Aal E Payamber Ke Nishan Tak
Baki Hei Yeh Manzr Ali Akber Ki Azaan Tak
Har Chund Ke Bachon Ki Abhi Piyaas Hei Baki
Kuch Aankh Mein Hasrat Hei To Kuch Aass Hei Baki
Lekin Mera Bhai Mera Abbas Hei Baki
Baki Hei Abhi Aal E Muhammad Ka Safeena
Beti Ke Sulane Ko Hei Shabbir Ka Seena
Jhoola Ali Asgher Ka Jhulati Hei Sakina
Kal Kaun Sunega Yeh Meri Aah O Buka Bhi
Hoga Tahe Khanjer Mere Bhai Ka Gala Bhi
Khema To Kuja Sar Pe Na Hogi Yeh Rida Bhi
Ae Raat Ghadi Bhar Ko Tu Rehne De Sakon Mein
Ghir Jayenge Nasir Mere Aada Ki Safon Mein
Yeh Chaand Se Chehre To Naha Jayenge Khoon Mein
No comments: