LYRICS - GHAM E HUSSAIN - Mohammed Abbas Karim - Muharram 1443-2021
LYRICS - GHAM E HUSSAIN - Mohammed Abbas Karim - Muharram 1443-2021
● NOHA- L Y R I C S ●
HAR EK MATAMI MAJLIS ME ROKE KEHTA HAI
GHAME HUSSAIN DILO’N KO SUKOON DETA HAI
- 1
QASAM KHUDA KI AZADAR E SHAHE KARBOBALA
IS LIYE TO KABHI BE SUKOO’N NAHI REHTA
YEH KEHKE FARSHE AZA GHAR ME WOH BICHATA HAI
- 2
YE ZINDAGI HAI YEHI DIL YEHI HAI JAAN MERI
GHAME HUSSAIN SE BARH KAR NAHI HAI KOI KHUSHI
YEH USKA GHAM HAI KE JISKA SUKOO’N SAKINA HAI
- 3
AGAR YEH GHAM NAHI HOTA TO HUM KIDHAR JAATE
JAWAAN BETON KE LAASHO’N PE BAAP MARJAATE
HAR EK GHAM ME HUMARA YEHI SAHARA HAI
- 4
TUMHEI’N HUSSAIN BULAAEN JAB APNE ROZE PER
AY BAWAFA KE WAFADARO’N DEKHNA JAA KAR
HARAM ME BAITH KE KITNA SUKOON MILTA HAI
- 5
HAR EK HUSSAINI YEH KEHTA HAI KHUD ZAMANE SE
NA ROK PAAEGA KOI YEH GHAM MANANE SE
ISI KE WAASTE BIBI NE HUMKO MANGA HAI
- 6
ZAMEEN WAALO’N KE HUMRAH AASMAA’N WAALE
GHAME HUSSAIN MANATE HAI’N DO JAHAA’N WAALE
NASEEB WAALO’N KO YEH GHAM NASEEB HOTA HAI
- 7
KARAM YEH HUMPE HAI ZEESHAN AUR KARIM E AZA
LAQAB MILA HAI HUMEI’N BIB FATIMA KI DUA
BALAND ITNA BHALA KAB KISI KA RUTBA HAI
No comments: