LYRICS | Nadeem Sarwar | Haider E Karrar | 2018 / 1440

 

LYRICS Nadeem Sarwar | Haider E Karrar | 2018 / 1440



NOHA LYRICS

Ya Ali Moula (as)

Ali (as) Ali (as) Moula Ali (as)

Jaan E Chaman tou, Sheeree'n Sukhan tou (as)

Rab ka dehan tou, Shah E Zaman tou (as)

Jaan e Chaman tou, Sheeree'n sukhan tou (as)

Rab ka dehan tou, Shah E Zaman tou (as)

Ali (as) Ali (as) Moula Ali (as)

Uski duniya ghulaam hoti hai

Jo Ali (as) ka ghulaam hota hai

Rang Haider (as) ka jis pey charh jaye

Uska mar kar bhi naam hota hai

Ali (as) Ali (as) Moula Ali (as) Ali moulana Ali (as)

Moula (as) Moula (as) Moula (as) Ali Un Waliullah (as)

Sarkar Alamdar (as) do aalam ka madadgaar

Ali Haider e Karrar (as)

Peero'n mein mera Peer Zabardast hai Sarkar (as)

Ali Haider e Karrar (as)

Sarkar Alamdar (as) do aalam ka Madadgaar

Ali Haider e Karrar (as)

Peero'n mein mera Peer Zabardast hai Sarkar (as)

Ali Haider e Karrar (as)

shaaho'n say bhi awla hain teray (as) dar kay gaadagar
kartay hain ghulaami teri(as) duniya kay Sikandar
aawl'a hay ameeron say faqeero'n kay muqadar
jaanat kay hain tajir teri dehleez kay nokar
Naaray E Haideri Moula (as), Naaray E Khaybari Moula (as)
Naaray E Safdari Moula (as), Naaray E Qambari Moula (as)
Meesum (as) nay lagaya hay yehi naara sar e dar
Ali Haider e Karrar (as)

Sarkar Alamdar (as) do aalam ka Madadgaar
Ali Haider e Karrar (as)

Peero'n mein mera Peer Zabardast hai Sarkar(as)
Ali Haider e Karrar (as)

Moula (as) Moula (as) Moula (as) Ali un Waliullah (as)
Allah(swt) ka anmol jo shahkar bana hai
Islam ka awl'a jo Alamdar bana haI
Mushkil mein jo Nabiyon(as) ka madadgar bana hai
woh saaray Imamo'n(as) ka jo sardar bana hai
Kull E Iman hai Moula(as), deen ki shaan hai Moula(as)
Shah E Mardaan hai Moula(as), Sher E Yazdaan hai Moula(as)
Kehtay hain Nabi(S.A.W.W) apna jisay Waris E Daastar

Ali Haider e Karrar (as)

Sarkar Alamdar (as) do aalam ka Madadgaar
Ali Haider e Karrar (as)

Peero'n mein mera Peer Zabardast hai Sarkar(as)
Ali Haider e Karrar (as)

Saadat(as) ki pur azam qayaadat mein Ali(as) hai
Shabbir(as) kay Andaaz E Ibadat mein Ali(as) hai
Sajjad(as) ki, Zainab(sa) Khitaabat mein Ali(as) hai
Abbas(as) kay parcham ki jalalat mein Ali(as) hai
Ali Asghar(as) mein bhi Moula(as)
Ali Akbar(as) mein bhi Moula(as)
Aale Athar (as) mein bhi Moula(as)
Bahattar(72) mein bhi Moula(as)
Hai Paak gharana (as) tera Islam kaa maymaar

Ali Haider e Karrar (as)

Sarkar Alamdar (as) do aalam ka Madadgaar

Ali Haider e Karrar (as)

Peero'n mein mera Peer Zabardast hai Sarkar(as)

Ali Haider e Karrar (as)

Moula (as) Moula (as) Moula (as) Ali Un Waliullah (as)
Sarkar (as) yeh sab aapki Zauja (sa) kee dua hai
ghar ghar mai jo yeh Mataam E Saadat bapa hai
har dil teray baacho'n ka Azakhana bana hai
Ankhain hain Najaf, Dil mai basi Karbobla hai
hum Azadar hain Moula(as) hum Wafadar hain Moula (as)
Teray Ghaam- Khuwaar Hain Moula (as) Aap Sardar Hain Moula (as)
Sarkar(as) bana lijye apna hamay Zawaar

Ali Haider e Karrar (as)

Sarkar Alamdar (as) do aalam ka Madadgaar

Ali Haider e Karrar (as)

Shah E Mardan, Sher E Yazdaan, Quwat E Parwardigar
La Fatah Illa Ali (as) La Saif Illah Zulfiqar
Shah E Mardan, Sher E Yazdaan, Quwat E Parwardigar
La Fatah Illa Ali(as) La Saif Illah Zulfiqar
Bay Ali Un (as), Bay Ali Un (as), Bay Ali Un (as)
Meri har fiqar mai, Har soch mai rehta hai Ali(as)
Bay Ali Un (as), Bay Ali Un (as), Bay Ali Un (as)
Noor ban kar meri Aankho'n mein chamakata hai Ali(as)
Bay Ali Un (as), Bay Ali Un (as), Bay Ali Un (as)
Ishq ban kar meri saanso'n mai samaya hai Ali (as)
Misl E Quran meray dil mai darakhta hai Ali(as)
Abar E Rehmat ki tarhan mujh pey barasta hai Ali(as)
Shah E Mardan, Sher E Yazdaan, Quwat E Parwardigar
La Fatah Illa Ali(as) La Saif Illah Zulfiqar
Ali (as) Ali (as) Ali (as)
Fatah E Khayber Ali (as) Ali (as) Ali (as)
Nafs E Payamber (S.A.W.W) Ali (as) Ali (as) Ali (as)
Saqi E kossar Ali (as) Ali (as) Ali (as)
Nabiyo'n (as) ka Yawar Ali (as) Ali (as) Ali (as)
Waliyo'n ka Rehbar Ali (as) Ali (as) Ali (as)
Gohar E mimbar Ali (as) Ali (as) Ali (as)
Sher E Dilawar Ali (as) Ali (as) Ali (as)
Mera Qoul O Muqaddar Ali (as) Ali (as) Ali (as)
Saheefa E Falak, Haider (as) Haider (as)
Wazifa E Malak Haider (as) Haider (as)
Arsh E Ulaa Talak, Haider (as) Haider (as)
Shehanshah E Najaf Haider (as) Haider (as)
Nuqta E Ba-Sharaf Haider (as) Haider (as)
Sada Hai Har Taraf Haider (as) Haider (as)
Moula (as) Moula (as)
Ali (as) Ali (as) Ali (as)
Moula (as) Moula (as)
Ali (as) Ali (as) Ali (as)
Moula (as) Moula (as)
Ali (as) Ali (as) Ali (as)



LYRICS | Nadeem Sarwar | Haider E Karrar | 2018 / 1440 LYRICS | Nadeem Sarwar | Haider E Karrar | 2018 / 1440 Reviewed by Nohayonline.lyrics on 10:35 AM Rating: 5

No comments:

All lyrics are Provided By Videos Caption and Noha Video Description. Any Problem Email Me. Powered by Blogger.