LYRICS - Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Ho - Mir Hasan Mir - Muharram 1442

 

LYRICS - Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Ho - Mir Hasan Mir - Muharram 1442/2020 - Lyrics


● Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Ho

●Uthay Hain Hath Khudaya Is Dua Kay Liye
Naseeb Ho Safar e Ishq Karbala Kay Liye

●Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Ho
Phir Laut Kar Wahan Say Ana Naseeb Ho

●Ankhon Ko Jab Bhi Ashk Bahana Naseeb Ho
Aale Nabi Ke Gham Ka Bahana Naseeb Ho

●Aisa Dar e Hussain Pe Sajda Ho Akhri
Phir Mujhko Apna Sar Na Uhana Naseeb Ho

●Parvardigar Thokarein Dar Dar Ki Kab Talak
Ab Mutakil Najaf Main Thikana Naseeb Ho

●Jaisa Mila Naseeb Se Ummul Baneen ko
Ab Kya Kisi Ko Aisa Gharana Naseeb Ho

●Mehshar Ye Arzoo Hai Ke Be Ghuslo Be Kafan
Karbobala Ki Teh Me Samaana Naseeb Ho

●Ansoo Gire Thay Bali Sakina Kay Jis Jagah
Apna Wahan Pay Khoon Bahana Naseeb Ho

●Yeh Keh Kay Shah Nikle Mazar e Rasool Sy
Pardes Main Kafn Mujhy Nana Naseeb Ho

●Asghar Hai Mairay Hath Bandhay Kehti ThI Rubab
Kaise Tumhai Galay Say Lagana Naseeb Ho

●Mashkiza Lay Kay Roza e Abbas Kay Qareeb
Sab Zairo'n Ko Pani Pilana Naseeb Ho

●Ek Sar Burida Lashe Nay Bachi Ko Di Dua
Zindan Say Ko Laut Kay Ana Naseeb Ho

●Nazdeek Khaima Gah Sakina Ki Yaad Main
Sham e Ghareeban Shama Jalana Naseeb Ho

●Sajjad Sham Tak Yahi Karty Rahe Dua
Chadar Mujhy Phuphi Ko Urana Naseeb Ho

●Aey Kash Phir Say Mir Takallum Furaat Par
Mehdi Ko Sheh Ka Noha Sunana Naseeb Ho



LYRICS - Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Ho - Mir Hasan Mir - Muharram 1442 LYRICS - Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Ho - Mir Hasan Mir - Muharram 1442 Reviewed by Nohayonline.lyrics on 3:48 PM Rating: 5

No comments:

All lyrics are Provided By Videos Caption and Noha Video Description. Any Problem Email Me. Powered by Blogger.