Lyrics - Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai - Mir Hasan Mir - Muharram 1441-2019
Lyrics - Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai - Mir Hasan Mir - Muharram 1441-2019
●Haye Sajjad (as) Haye Sajjad (as)
●Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
Durro'n Say Jagaya Jata Hai
●Ek Phool Hai Jis Ko Kanto'n Par
Din Raat Chalaya Jata Hai
●Abbas Ki Ghairat Say Aksar Abid Ki Aseeri Pochti Hai
Kiya Chaar Baras Ki Behna Ko Zinda Main Sulaya Jata Hai
●Saadat Kay Khaimay Jaltay Hain Sholo'n Main Ghiri Hai Ale Nabi
Phir Aj Nabi Ki Beti Par Darwaza Giraya Jata Hai
●Reh Reh Kay Shah e Deen Daikhtay Hai Naizay Say Sakina Ki Janib
Lagat Hai Pusht e Naqa Say Bachi Ko Giraya Jata Hai
●Bibi Ko Qareeb Lash e Jari Durro'n Ko Izziyat Daitay Hai
Abbas Ko Tarpanay Kay Liye Zainab Ko Sataya Jata Hai
●Ghairat Kay Sabab Jis Bibi Nay Ghar Main Bhi Na Daikha Aaina
Baiparda Usay Lanay Kay Liye Darbar Sajaya Jata Hai
●Bin Biyah Kay Akber Maraigaye Arman Na Niklai Bano Gai
Taboot Pay Akbar Kay Sehra Kuch Yun Bhi Charaya Jata Hai
●Woh Nok e Sina Pay Ghairat Say Rukta Hi Nahi Gir Jata Hai
Arey Jab Jab Bhi Sar e Abbas e Jari Naizay Pay Charaya Jata Hai
●Parday Main Bilal e Karbobala Roye Na Maira Mola Kyun Kar
Afsoos Kay Turbat Main Ab Tak Zehra Ko Rulaya Jata Hai
No comments: