Zainab Tere Baba Ki Jabeen Khoon Mai Tar Hai | Nohay Lyrics
Zainab Tere Baba Ki Jabeen Khoon Mein Tar Hai
Haider Ki Allamdar-e (x2) Hussaini Pe Nazar Hai
Zainab Ke Khulay Sar Pe Hai Haidar Ki Nigahein
Yaad Aanay Lagi Shaam Ke Bazaar Ki Rahein
Ikkisveen Ramzan Ki (x2) Honay Ko Saher Hai
Shabbir Ki Dhaaras Hai Yeh Zainab Ka Bharam Hai
Rutba Hai Yeh Ghazi Ka Ke Saqqa-e-Haram Hai
Dilband Hai Sarwar Ka (x2) Haidar Ka Jigar Hai
Socho To Musalmaano Ke Yeh Baat Bari Hai
Haq Maangnay Zehra Sar-e-Darbar Khari Hai
Ay Ghairat-e-Islam Bata (x2) Aaj Kidhar Hai
Voh Waqt Bhi Hoga Ke Koi Paas Na Hoga
Gharbaar Lutay Ga Magar Abbas Na Hoga
Aur Jaaeygi Bazaar Usay (x2) Yeh Bhi Khabar Hai
Iss Ghum Muhafiz Hai Muhib Zainab-e-Dilgeer
Duniya Mein Jo Baqi Hai Azadari-e-Shabbir
Yeh Fatima Zehra Ki (x2) Duaon Ka Asar Hai
Zainab Tere Baba Ki Jabeen Khoon Mai Tar Hai | Nohay Lyrics
Reviewed by Nohayonline.lyrics
on
1:35 PM
Rating:
No comments: