Pehlu bhi shikasta hai turbat bhi shikasta hai lyrics

pehlu bhi shikasta hai turbat bhi shikasta hai
kiya hall yai umaat nai zahra kaa bannaya haii
pehlu bhi....

khatoon koi gham se yun choor nahi dekhi
aisi kioi dunya mastoor nahi dekhi
athara baras may hi lagti jo zaeefa hai
pehlu bhi....

darbaar may zaalim ne ki aisi pazeerayi
kiss tarrha sai to bibbi phiir lout kai ghaar ayi
baalon ki safedi ne sab haal sunaya hai
pehlu bhi....

tu roti rahi ghar may hyder se bhi chup chup ke
ismat ki tarha dukh bhi parde may rahe tere
kuch dard tere bibi bas jaanti fizza hai
pehlu bhi....

do aise janaze hai tareekh may jo uth-thay
bus ghaar kai hii logoon nai donno koo diiye kandhe
ek fatima zehra hai ek bali sakina hai
pehlu bhi....

marhaam teree zakhmoo kaa biibi naa milaa aab taak
aulaade umayya ki baaqi hai jafa ab tak
roney pai bhii pahra thaa turbaat pai bhii pahra haii
pehlu bhi....

mismaar tera rauaza ummat ne kiya jab sai
babaa teera rahta haai turbet pai teeri taab sai
kab ghumbad-e-khizra may baba tera rehta hai
pehlu bhi....

mehdi se koi pooche kya uspe guzarti hai
awaaz baqayya se jab rone ki aati hai
aankhon se lahoo rokar wo bhi yehi kehta hai
pehlu bhi....

tasveer haqeeqat ki khwabon ko banadije
ay bibi takallum ko tabeer dikhadije
matam teri turbat pe hote hue dekha hai
pehlu bhi....

Noha Khawan : Mir Hasan Mir
Writer: Mir Takallum Mir

Pehlu bhi shikasta hai turbat bhi shikasta hai lyrics Pehlu bhi shikasta hai turbat bhi shikasta hai lyrics Reviewed by Nohayonline.lyrics on 10:31 PM Rating: 5

No comments:

All lyrics are Provided By Videos Caption and Noha Video Description. Any Problem Email Me. Powered by Blogger.