Baghdad Ke Pul Par Kazim Ka Kis Ne Yeh Janaza Rakha Hai.| Lyrics


Baghdad Ke Pul Par Kazim Ka Kis Ne Yeh Janaza Rakha Hai.


Afsoos Keh Mula Ka Lasha Zanjeer-e-Sitam Mein Jakra Hai.

Zindan Tu Tang Hote Hain Magar Itne Bhi Tang Nahi Hote.
Mula The Ruku Mein Chodah Baras Ahsas Yeh Khon Rolata Hai.

Pehle Tu Laeen Ne Zehar Diya Phir Lash Ko Tanha Choor Diya.
Rone Ke Liye Iss Lashe Par Bhai Na Behan Na Beta Hai.

Iss Qaid-e-Sitam Mein Bhi Mula Rehte The Musallay Par Har Dam.
Be-Jurm Namazi Qatal Howa Ro Ro Ke Musalla Kehta Hai.

Aisi Bhi Ghareebi Dunya Mein kya Logo Kissi Par Dekhi Hai.
Afsoos Janaza Kazim(AS) Ka Mazdoron Se Uthwaya Hai.

Paiwast Badan Mein Hain Kariyaan Lohar Se Bole Mula(AS).
Ahista Kat Yeh Zanjeerein Lasha Yeh Sadaein Deta Hai.

Eidein Athaees Guzari Hain Bin Aap Ke Aye Baba Mere.
Iss Eid Pe Tum Ghar Aa Jana Masooma-e-Qum(SA) Ka Noha Hai.

Mazloom Mere Mula Tujh Par Aulaad Bhi Teri Ro Na Saki.
Baghdad Nahi Do Aalam Mein Ab Matam Tera Hota Hai.

Mazloomi-e-Ibn-e-Jafar(AS) Ko Kya Koi Biyaan Kar Paye Ga.
:FARHAN: Our :MAZHAR: Rote Hain Har Aik Zabaan Par Noha Hai.
Baghdad Ke Pul Par Kazim Ka Kis Ne Yeh Janaza Rakha Hai.| Lyrics Baghdad Ke Pul Par Kazim Ka Kis Ne Yeh Janaza Rakha Hai.| Lyrics Reviewed by Nohayonline.lyrics on 4:48 PM Rating: 5

No comments:

All lyrics are Provided By Videos Caption and Noha Video Description. Any Problem Email Me. Powered by Blogger.