AGAYE BINTEE AALI, BAYRIDA HATH BANNDHE BHARE BAZAROON MAINN
AGAYE BINTEE AALI, BAYRIDA HATH BANNDHE BHARE BAZAROON MAINN
Jiss ne sooraj nah kabhi dekha tha Rorahee hai voh gunahgaronh main
AAGAYE BINTE ALI, BERIDA HAATH BANDHE BHARRE BAZAARON MAIN.....(2)
1) Kaun jaanay ke yeh hai kaun, rassan pehne hooe Berida rotee hai sajjad ke peeche chup ke Sisskiyanh doobi hainh jiss Bibi kee Hae zanjeero kee jhankaron meinh
AAGAYE BINTE ALI, BERIDA HAATH BANDHE BHARRE BAZAARON MAIN....(2)
2) Hae Zahra teri kismet nah millah Haqq tujh ko Aisee tazim teri ki hai mussalmanonh ne Tera Haqq mangne aayee Zainab Ek menosh ke darrbaronh meinh
AAGAYE BINTE ALI, BERIDA HAATH BANDHE BHARRE BAZAARON MAIN....(2)
3) Kahan Zainab aur kahan shaam ke logonh ka hajoom Sarr barehana oonchee avaaz mainh khutbe parhna Qatlay murrsal ka havaala de karr Chadare Mangna badhkaronh mein
AAGAYE BINTE ALI, BERIDA HAATH BANDHE BHARRE BAZAARON MAIN....(2)
4) Agg Khaymooh koo Lugge aurr thayy Sajad bai hoosh Rorro Abbass koo deti thi sadayn Zainab lootelo chadare Sayyedaniyyonh kee Shor barpa tha sitamgaronh meinh
AAGAYE BINTE ALI, BERIDA HAATH BANDHE BHARRE BAZAARON MAIN....(2)
5) Jiss tarha bali Sakina rahe Baba ke beghair Sogayyi chaen se tanhhaee meinh rote rote Hitchkiyyanh dabb gayyee Massooma kee Hae zindano ke deevaronh meinh
AAGAYE BINTE ALI, BERIDA HAATH BANDHE BHARRE BAZAARON MAIN....(2)
6) Jiss jagga Majlis-e-Shabbir ho barpa Akhtar Chhorr Karr dukhiyya vahanh rotee hai Zahra aa Karr Baal Kholay hooeh saar peet ti hai Apne pyaaronh ke Azadaaronh meinh
AGAYE BINTEE AALI, BAYRIDA HATH BANNDHE BHARE BAZAROON MAINN
Reviewed by Nohayonline.lyrics
on
2:20 PM
Rating:
No comments: